Wednesday, February 23, 2011

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,
kay rashk tere naseeb per falak kare,
har more per frishtay hon sath tere,
har ghum per hifazat tairi khuda kare…
best wishes forever & good luck

Tuesday, February 22, 2011

"Muslim General" Sultan SALAAH-U-DIN AYUBI...

"Muslim General" Sultan SALAAH-U-DIN AYUBI
ne Falastain, Sham, Urdan, Lubnan aur Misr pr Hukumat ki,
BAIT UL MAQDAS b Fatah kia, Lekin jb UN ka inteqal huwa
to Qarz lekar un k Kafan Dafan ka intezam kiya gia. un ki
Wafat k Ba'd un ki Zati Ja'edad ka Hisab kia gya...
To1 Ghora, 1 Talwar, 1 Zirah, 1 Dinaar aur
36 dirham k ilawa kuch na tha, Wo Shadeed
Khwahish k Bawajud HAJJ na kr sakey.
Ye thay azeem hukmraan & log...

Monday, February 21, 2011

"Kash Samajhta Wo Is Dil Ki Chahat Ko"

"Kash Samajhta Wo Is Dil Ki Chahat Ko"
"To Yun Na Humain Tanha Kiya Hota"
"Unki Berukhi Bhi Manzoor Thi Humain"
"Bus Aik Baar Humain Samajh To Liya Hota....

Sunday, February 20, 2011

Na Mila Kro Sare Sham Mujy, Main Tanha Tanha Hi Theek Hon...

Na Mila Kro Sare Sham Mujy, Main Tanha Tanha Hi Theek Hon!
Muje Chahton Se lagta hai Dar, Main Nafrton Mein Hi Theek Hon!
Muje Raston Me Chor Do Muje Justju-e-Manzil Nhi!
Na Dikhao Muj Ko Rast, Me Bhtka Hoa Hi Thk Hon!
Mere Dosto Muje Chor Do, Na Suljao Meri Uljhnen!
Muje Adaavten Hi Pasnd Hain Main Dushmnon Mein Hi Thk Hon!
Muje Khushi Ki Koi Talab Nhi Muje Apna Ghum B Nawaz Do!
Muje Ansu Pina Pasnd Hain Main Ansuon Me Hi Thk Hon.

Saturday, February 19, 2011

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen...

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per Ik Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Friday, February 18, 2011

Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …

Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …

“Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi…!!!

Thursday, February 17, 2011

"Agar Koi Shakhas 10 Dirham (1000/Rs) Ka Kapra Khareedy...

*Hadees*
Nabi Akram (Salallaho Alaihe Wassalam) Ny Farmaya K
"Agar Koi Shakhas 10 Dirham (1000/Rs) Ka Kapra Khareedy
Or In Me Ek Dirham (100/Rs) Haraam (Kamaai) Ka Ho To
Jab Tak Wo Kapra Is K Badan (Jisam) Par Rahy Ga
ALLAH TA'ALA Iski Namaz Aur Dua Qubool Nhi Farmata"
(Beheqi) www.HazroCity.com