Wednesday, May 4, 2011

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di menay...

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di menay,
Teri talash me ek umar laga di mane,
Tujhy jo dil se nikala to yon laga jaise,
Apne andar koi dewar gira di mane,
Gongay, behron me raha jaise koi nabina,
Zindagi tere bina aise bita di mane,
Jis ka har lafz adhora raha Sanam tum bin,
Zindagi aisi hi tehreer bana di mane,
Tum ko khoya jo achanak to yun laga
"Mohsin",
Zindagi aik hi lamhe me ganwa di mane.

Tuesday, May 3, 2011

Gunah se Toba karna wajib hay magar Gunah se...

Gunah se Toba karna wajib hay magar Gunah se
bachna fraz hy. (Hazrat AbuBakr)
Toba karne se behtar hy k Gunah kiya hi na jae.
(Hazrat Umar)
Gunah kisi na kisi surat Dil ko pareshan rakhta he.
(Hazrat Usman)
Sub se bara Gunah wo he jo karne walay ki nazar mai
chota ho. (Hazrat Ali)

Monday, May 2, 2011

"Aisa Nahi, K Tujh Se Mohabbat Nahi Humay"

"GHAZAL"
"Aisa Nahi, K Tujh Se Mohabbat Nahi Humay"
"Gham Roz Roz Sehny Ki Aadat Nahi Humay"
"Har Bar Tere Samnay Sar Ko Jhoka Liya "
"Aur Phir B Dekh, Tujh Se Shikayat Nahi Humay"
"Tu Aitbaar Kar, K Tujay Chahatay hain Hum"
"Teray Siwa Kisi Ki B Chahat Nahi Humay"
"Hum Jantay Hain, Tu B Hai Tanha Humary Bin"
"Auron Se PochNay Ki Zarorat Nahi Humay"
"Kesay Rahein Gay Bin Teray Ab, Baat Maan Lay"
"Tery Bagair Rehnay Ki Aadat Nahi Humay.

Sunday, May 1, 2011

~Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,

~Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,
Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon Ga,
Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,
Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Ga,
Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,
Jab Ke Tu Janta Hai Main Pighal Jaon Ga,
Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,
Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Ga,
Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai,
Main To Yaadon Ke Khilony Say Behal Jaon Ga.

Friday, April 29, 2011

Tum Ko Hi Fursat Na Thi Kisi Afsanay Ko Perhne Ki.

(01)
Tum Ko Hi Fursat Na Thi Kisi Afsanay Ko Perhne Ki.
Main To Bikta Raha Tere Sheher Main Kitabon Ki Tarah.
(02)
Ham to Be-Naam se Be-Aasra Se Log hain Faraz,
Koi agar yaad bhi rakhy ga to uski inayat ho gi

Thursday, April 28, 2011

"Sunita Willams" 1st iNDIAN Lady jo 02/07/2007 ko CHAND per gayi thi...

"Sunita Willams" 1st iNDIAN Lady jo 02/07/2007 ko CHAND per gayi thi.
Us ne "ISLAM" Qabool kar liya hai, Us ney kaha k Chand say sari
ZAMEEN Black nazar aa rahi thi magar 2 jagga Roshan thi
Telescope say Dekhato Roshni wali jagga MAKKAH aur
MADINA thay Aur Chand pe sari Frequency fail ho jati
hain magar Sirf Ek Avaaz ati hai jo k AZAAN ki Avaaz
hai. SUBHAN ALLAH
plz 4wrd it 2 All Muslims & Non-Muslims....!

Wednesday, April 27, 2011

Ek shaks ki chahat ka armaan raha akser

Ek shaks ki chahat ka armaan raha akser
Jo jan kar bhi sab kuch anjan raha akser
Ye pyar muhabbat ka hai khael khuda jany kaisa
K jis ne wafa ki, us ko Nuqsan raha akser
Aata hai wo nendon me rehta hai wo khwabon me
Ek yehi to us ka mujh pe Ehsan raha akser.