Saturday, May 7, 2011

Mitt gaya hon mujko to mitta rehne do...

Mitt gaya hon mujko to mitta rehne do,
Mere jazbaat K sholon ko buja rehne do,
Dard sehne ki hai bachpan hi se aadat mujko,
Mere riste hue zakhmon ko hara rehne do,
Ab to tabeer ki hasrat hi nai hai mujko,
Meri aankhon men mera khuwab chupa rehne do,
Muskurahat pe mera HAQ hi nai hai yaaro,
Mere honto se tabasam ko khafa rehne do,
Dil jo toota hai tu aankhen na chalak jaen peah G,
Aj ankhon ko in ashkon se bhara rehne do...

Friday, May 6, 2011

Tum ne Barishon ko Sirf Barastay Dekha hai,

Tum ne Barishon ko Sirf Barastay Dekha hai,
Mai ne Aksar Barishon ko kuch Kehtay Dekha hai
Tum Dekhtay ho Barishon ki Jal-Thal Har Saal
Mai ne Barsaat ko Palkon pay Machaltay Dekha hai
Kaisay Maangun Phir Brasta Saawan apnay RUBB say?
K inn Aankho ne Dilon ko Sawan Main Ujartay Dekha Hai
Seekh Gaye Hum Barishon ko Apnay Andar Utaarnay ka Fun
Or Phir Sub Ne Humain Har Pal Har Dum Hanstay Dekha Hai...

Thursday, May 5, 2011

Hathi K Bache Ko Pair Main Zanjeer Daal K Paala Jata Hy...

Hathi K Bache Ko Pair Main Zanjeer Daal K Paala Jata Hy
Wo Zanjir Torne Ki Kafi Din Koshish Krta Hy Lekin Himmat
Haar K Chhor Deta Hy. Jb Wo Barha Or Taqatwr Hojata Hy To
Wohi Zanjir Hoti Hy Jo Halki Koshish Se Toot Skti Hy, Magar
Hathi K Dimagh Me Wohi Hota Hy K Zanjir Nhi Totey Gi 0r
Wo Sari Zindgi Ghulam Reta Hy, Hamari Qaum Ki Tarha.
A silent msg for our elephant nation.:-)
Bay Chaari ~ Abhi bhi wohi ~Ghulam Qom
Wali soch nahi badal rahi

Wednesday, May 4, 2011

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di menay...

Bichhar k tujh se yehi khud ko saza di menay,
Teri talash me ek umar laga di mane,
Tujhy jo dil se nikala to yon laga jaise,
Apne andar koi dewar gira di mane,
Gongay, behron me raha jaise koi nabina,
Zindagi tere bina aise bita di mane,
Jis ka har lafz adhora raha Sanam tum bin,
Zindagi aisi hi tehreer bana di mane,
Tum ko khoya jo achanak to yun laga
"Mohsin",
Zindagi aik hi lamhe me ganwa di mane.

Tuesday, May 3, 2011

Gunah se Toba karna wajib hay magar Gunah se...

Gunah se Toba karna wajib hay magar Gunah se
bachna fraz hy. (Hazrat AbuBakr)
Toba karne se behtar hy k Gunah kiya hi na jae.
(Hazrat Umar)
Gunah kisi na kisi surat Dil ko pareshan rakhta he.
(Hazrat Usman)
Sub se bara Gunah wo he jo karne walay ki nazar mai
chota ho. (Hazrat Ali)

Monday, May 2, 2011

"Aisa Nahi, K Tujh Se Mohabbat Nahi Humay"

"GHAZAL"
"Aisa Nahi, K Tujh Se Mohabbat Nahi Humay"
"Gham Roz Roz Sehny Ki Aadat Nahi Humay"
"Har Bar Tere Samnay Sar Ko Jhoka Liya "
"Aur Phir B Dekh, Tujh Se Shikayat Nahi Humay"
"Tu Aitbaar Kar, K Tujay Chahatay hain Hum"
"Teray Siwa Kisi Ki B Chahat Nahi Humay"
"Hum Jantay Hain, Tu B Hai Tanha Humary Bin"
"Auron Se PochNay Ki Zarorat Nahi Humay"
"Kesay Rahein Gay Bin Teray Ab, Baat Maan Lay"
"Tery Bagair Rehnay Ki Aadat Nahi Humay.

Sunday, May 1, 2011

~Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,

~Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Ga,
Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon Ga,
Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,
Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Ga,
Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,
Jab Ke Tu Janta Hai Main Pighal Jaon Ga,
Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,
Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Ga,
Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai,
Main To Yaadon Ke Khilony Say Behal Jaon Ga.