Wednesday, June 8, 2011

Allah Insaan Sey Fermata Hey...

Allah Insaan Sey Fermata Hey

Meri Teraf A Ker To Dekh
Mutawjah Na Hoon To Kehna

Meari Rah Main Chal K To Dekh
Rahain Na Khool Doo To Kehna

Mujh Sey Sawal Ker K Dekh
Bakhshish Ki Had Na Ker Doon To Kehna

Meray Liye Beyqader Ho K To Dekh
Qader Ki Had Na Ker Doon To Kehna

Meray Liye Lut K To Dekh
Rehmat K Khazaney Na Luta Doon To Kehna

Meray Liye Bik K To Dekh
Anmool Na Ker Doo To Kehna

Mujhey Rab Maan K To Dekh
Sab Sey Beyniyaaz Na Kerdoo To Kehna

Meray Khuaf Sey Ansoo To Baha K To Dekh
Maghfirat K Darya Na Bahadoo To Kehna

Wafa Ki Laaj Nibha K To Dekh
Ata Ki Had Na Kerdoon To Kehna

Meray Naam Ki Tazem Ker K To Dekh
Hakim-e-Takreem Ki Inteha Na ker Do To Kehna

Apni Hasti Ko Fana Ker K To Dekh
Jam-e-Baqa Sey Serfaraze Na Kerdoo To Kehna

Mujhey Haieyolkaieyoom Man K To Dekh
Abdi Hayat Ka Ameen Na Banadoon To Kehna

Mera Ho K To Dekh
Her Kisi Ko Tera Na Bana Doon To Kehn

Tuesday, June 7, 2011

Door Of Memories Will Never Close,

Door Of Memories Will Never Close,
How Much We Miss Our friends
No One Knows,
Days Will Pass Like Years,
And We will Remember The Memories In Silent Tears.

www.HazroCity.com

Monday, June 6, 2011

Meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai

Meri maut hai meri hamsafar meri zindagi bhi ajeeb hai
meray charo'n tarrf hai jalwa garr teri be rukhi bhi ajeeb hai
mera dard hai lab e aashna teri ranjisho'n k azaab say
meray shair hain meray chara garr meri dil lagi bhi ajeeb hai
jo hai ta'ana zann meri zaat par mujhay unsay koi gila nahee'n
mujhay jaan say hain azeez tarr meri dosti bhi ajeeb hai
mai lahoo jigar say guzar kar, tujhay naql karta hoo'n warq warq
hai qalam ki nauk say mukhtasar teri aagahee bhi ajeeb hai
mai peher ki tapti hawao'n say, karhi dhoop mai kharha be khabar
saray reh-guzar tera muntazar, meri be basi bhi ajeeb hai

Sunday, June 5, 2011

Maa ki mumta kaun bhulaye,


Maa ki mumta kaun bhulaye,
Kaun bhula sakhta woh pyaar,
Kis tarah bataun kaise ji rahae hum,
Tu toh baitee pardesh mein,
Gale tujhe kaise lagaun,
Lekin bhej raha hae pyaar ish sms mein,
Tera betta meri pyari maa…
Always respect your mothers...
www.HazroCity.com

Saturday, June 4, 2011

do not accept unverified information!!!


do not accept unverified information!!!
=> Do Not Accept Unverified Information. (Quran 17:36)
=> Listen To All Views And Follow The Best. (Quran 39:18)
=> Read In Order To Know, But Read Critically. (Quran 96:1-5)
=> Spy Not Upon One Another (Quran 49:12)
=> Do Not Backbite One Another (Quran 49:12)
www.HazroCity.com

Friday, June 3, 2011

Hijar ki bad door na ho jana

Hijar ki bad door na ho jana
Dekh lana saza na ho jana
Mor to be shumar ain gay
Thak na jana juda na ho jana
Zindagi gham se ibarat hay 
Zindagi se khafa na ho jana
Ik tumhin ko khuda se manga hay
Kahin tum be wafa na hojana……
www.HazroCity.com

Thursday, June 2, 2011

Hy nafas kay haathon tu majboor KITNA,

Hy nafas kay haathon tu majboor KITNA,
Sub jaan kay be hy aaj la shaoor KITNA,
Jis chehry nae he 1 din matti men mil jaana,
Us chehray pe hy tujhe ghuroor KITNA,
1 sajde k inkaar ne IBLEES ko shetaan bana dia,
Tu khud jaan lay tera hy qusoor KITNA,
Jin ki sunnat pe chalna tujhe Gawaara nahi,
Tery waasty roye thay woh HUZOOR KITNA,
Tu ne chakhi hy faqat gunaahon ki lazzat,
Tu kya jaane A Muslim!!!
zikr-e-Elaahi men hy suroor KITNA.
www.HazroCity.com