Monday, February 28, 2011

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana
Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana
Maine Palkon Pe Tamannaen Saja Rakhi Hain
Dil Par Umeed ki 100 Rasmen Jala Rakhi Hain
Ye Hanseen Shamen Bujhaane ke Liye Mat Aana
Pyar ki Aag Main Zanjeer Pighal Sakti Hai
Chahne Walon ki Takdeer Badal Sakti Hai
Hoon Bebas Ye Batane ke Liye Mat Aana
Mujhse Milne ki Agar Tumko Nahi Chahat koi
Tum Sirf Rasmen Nibhane ke Liye Mat Aana...

Sunday, February 27, 2011

Uski Aankhon Main Muhabat Ka Sitara Hoga !

Uski Aankhon Main Muhabat Ka Sitara Hoga !
Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga !
Jis k Honay Se Meri Saans Chla Krti Hai !
Kis Trha Us K Baghair Apna Guzara Hoga !
Yeh AchanAk Jo Ujala Sa Huwa Jata Hai !
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Hoga !
Yeh Jo Pani Main Chla Aya Sunahri Sa Garoor !
US Ne Drya Main Kahin Paon Utara Hoga !
Kon Rota Hai Yahan Raat K SAnaton Main "~WaSI~"
Mere Jaisa Hi Koi Hijer Ka Maara Hoga.

Friday, February 25, 2011

Bewafa koi sitamgar b to ho sakta hai,

Bewafa koi sitamgar b to ho sakta hai,
Mera qatil mera Rehber b to ho sakta hai,
Aik mudat se tuje wird main rakha jisnay,
Wo mohabat main Qalandar b to ho sakta hai,
Tere koochay main jo aaya hai ghulamon ki tarah,
Apni basti ka Sikandar b to ho sakta hai,
Silsila war agr ashk bahay jain,
Ye jo sehra hai samandar b to ho sakta hai,
Kb talak tere khayalon k sahare jiyein?
Dil teri yaad se munkir b to ho sakta hai. . .

Thursday, February 24, 2011

Qabr ki pukar!

Qabr ki pukar!
Sun laga k kaan. Ay ibn'e Aadam, Tujhe aj bhi
mene yad kia he kia Tune bhi mujhe yad kia?
Nahi na! sun,,, Mere andar andhera he
NAMAZ ki roshni lete aana, Mere andar ghbrahat he!
Tilawat'e Quran lete aana, Mere andar Saanp o Bichhu hyn
Huzoor S.A.W.W. ki sun'nat lete aana, Mere andar Aag hy!
Khof e Khuda ka pani lete aana, Mere andar azabat hen!
Sadqa kherat lete ana, Bholna mat, Qk
Tu muje bhool skta he men tujhe nahi bhoolti
Bas mujhe yad rakhna, Khali hath ay ga to boht pachtay ga!
Jumma Mubarak!
ALLAH HAM SUB KO AMAL KI TOFEEQ DE
AUR HAMARI MAGFRAT FARMAI (AAMIN)

Wednesday, February 23, 2011

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,

Khuda tujhe urooj aisa naseeb kare,
kay rashk tere naseeb per falak kare,
har more per frishtay hon sath tere,
har ghum per hifazat tairi khuda kare…
best wishes forever & good luck

Tuesday, February 22, 2011

"Muslim General" Sultan SALAAH-U-DIN AYUBI...

"Muslim General" Sultan SALAAH-U-DIN AYUBI
ne Falastain, Sham, Urdan, Lubnan aur Misr pr Hukumat ki,
BAIT UL MAQDAS b Fatah kia, Lekin jb UN ka inteqal huwa
to Qarz lekar un k Kafan Dafan ka intezam kiya gia. un ki
Wafat k Ba'd un ki Zati Ja'edad ka Hisab kia gya...
To1 Ghora, 1 Talwar, 1 Zirah, 1 Dinaar aur
36 dirham k ilawa kuch na tha, Wo Shadeed
Khwahish k Bawajud HAJJ na kr sakey.
Ye thay azeem hukmraan & log...

Monday, February 21, 2011

"Kash Samajhta Wo Is Dil Ki Chahat Ko"

"Kash Samajhta Wo Is Dil Ki Chahat Ko"
"To Yun Na Humain Tanha Kiya Hota"
"Unki Berukhi Bhi Manzoor Thi Humain"
"Bus Aik Baar Humain Samajh To Liya Hota....