Mirza Adeeb Ki Kitab "Matti Ka Diya" se Iqtibas:
"Aba G Mujay Martay Thay To Ammi Bacha Leti Thein, Ek Din Men Ne Socha Keh Agar Ammi Pitai Karengi Tu Abbu G Kya Karengai? Yeh Dekhnay K Liye Me Nay Ammi Ka Kaha Na Mana, Unhon Ne Kaha Bazaar Say Dahi La Do Men Nay Na Laya, Unhon Ne Salan Kam Dia, Me Ne Ziada Par Israr Kia, Unhon Ne Kaha Peerhi K Ooper Beth Kar Roti Khawo, Me Nay Zameen Par Darri Bicha Kar Beth Gia. Lehja bi Gustakhana! Mujay Puri Tawaqah Thi K Ammi Zurur Marengi Magar Unhon Nay Mujay Seenay Se Laga Kar Kaha, "Q Puttar Maan Sadqay Tu Bimar Te Nahi?" Us Waqt Meray Aansu Thay Keh Ruktay Hi Nahi Thay...!
No comments:
Post a Comment