Showing posts with label Poetry of Illama Iqbal. Show all posts
Showing posts with label Poetry of Illama Iqbal. Show all posts

Tuesday, February 21, 2012

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo.
(IQBAL)            www.HazroCity.com

Friday, July 8, 2011

Hum kon hain kya hain ba-Khuda yaad nahi

(ALLAMA IQBAL)
Hum kon hain kya hain ba-Khuda yaad nahi
Apne aslaf ki koi b ada yaad nahi
Hain agar yaad to kafir k tarane
Hai nahi yaad to Kaabay ki sada yaad nahi
Bint-e-Hawa ko nachate hain sar-e-mehfil ab
Kitne sang-dil hain k rasm-e-haya yaad nahi
Aaj apni zillat ka sabab yeh hai shayad!
Sab kuch yaad hai bas Khuda yaad nai...

Saturday, May 14, 2011

(Best of Illama Iqbal)

(Best of Illama Iqbal)
Goongi Ho Gai Aaj kuch Zuban kehty kehty,
Hichkicha Gya Main khud ko Musalman kehtay kehtay,
Ye baat Nahi k Muj ko os Par yaqeen Nahi,
Bas Dar Gya khud ko saheb-e-Imaan kehty kehty,
Tofeq Na hoi Mujhy Ek waqt ki Namaz ki,
Aur Chup Hoa Moazan Aazaan kehty kehty,
Kisi kafir Ne jo Poocha k ye kia Hay Maheena,
sharam se pani hoa Main Ramzan kehty kehty,
Mere shelf Main Gard se Atti kitaab ka Jo Poocha,
Main Garr Gya Zameen Main Quran kehty kehty,
Ye sun k Chup sadh Li "IQBAL" Us Ne.
Yoon laga jese ruk gaya ho mujhay Haiwaan kehtay kehtay....!