Thursday, February 14, 2013

Jab Tak Tera Ghuroor Or Ghussa Baqi Hy,

Sheikh Abdul Qadar Jelani (R.A.) Frmatay Hyn,
Jab Tak Tera Ghuroor Or Ghussa Baqi Hy,
Apnay Ap Ko Naik Logo Me Shumar Mat Krna.
***
"Talwar se ziada taiz waar muj par us shakhs k anso kartay hyn,
Jo apny naseeb Par rota hai Magr Namaz nhi parhta "
HAZRAT UMAR FAROOQ (R.A.)
***
Allah Rab-ul-Izat ne frmaya:
Mera hosla dekho Jo Farishte Sham ko Tumhare Gunah Mere pas le kr aate hai,
or Me Subah uni k hath tumara rizq bejwa deta hon.
             www.HazroCity.com

Tuesday, February 12, 2013

2 Larkian apas me larh rahi then to pas se 1 Charsi guzra,

2 Larkian apas me larh rahi then to pas se 1 Charsi guzra,
1st Girl: Allah karay is sy teri shadi ho
2nd:Teri ho
1st:Teri              2nd:Teri
1st:Teri              2nd:Teri
1st:Teri              2nd:Teri
Charsi:Ye batao me rukon ya jaon..??:/:D
*/**/**/**/**/**/**/**/**/**/*
Soch Raha Hn
Valentines Day Pe B
Surprise Dn:
From REHMAN MALIK:-D
             www.HazroCity.com

Sunday, February 10, 2013

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay...

Qateel Shifai Poetry

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay
Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay
             www.HazroCity.com

Friday, February 8, 2013

Sorry velantine I M Muslim,

Sorry velantine I M Muslim,
1 Larki Red Libas Ya Burqy Ya Chadar Me 1 Na Mehram Mard k Sath
Park, Resturant Cafe, Market, Car Ya Bike Par Gift Deti Or Leti
Dikhai De, To Kya Ap Psand Krenge k Wo Apki
Behen Ya Beti Ho?
Nhi Na!
Isi Tarha Koi Or Bi Psand Nhi Krega
Aiye! Izzaton Ki Hifazat Kren Na Ksi Ki Izzat Pr Nzar Dalen,
Na Apni Izat Ko Ruswa Hone Dyn q k jaisy krny wesy bharni
Aiye! "boycott karain."
We Are 'Muslims' Not 'Valentiner'¤
             www.HazroCity.com

Wednesday, February 6, 2013

Sab Se Bari Bahaduri "SABAR" Karna hai..

Assalam O Alaikum:

Hazrat Ali (R.A.) ne farmaya!
Sab Se Bari Bahaduri "SABAR" Karna hai..
Sab Se Bari bala "NA UMIDI" hai..
Sab Se Bari Tafrih "MASRUFIYAT" hai..
Sab Se Bara Ustad "TAJARBA" hai..
Sab Se Barra Faeyda "NAIK AULAAD" hai..
Sab Se Barra Tuhfa "DARGUZAR" Karna hai..
Sab Se Barra Sarmaya "KHUD ETMADI" hai..
Sab Se Barra Raaz "MOUT" hai..
Aur Sab Se Barri Dolat "ACHA DOST" hai.
Dua'on ki darkhwast,              www.HazroCity.com

Tuesday, February 5, 2013

KIA AP JANTEN HYN NAMAZ K KUL KITNE FARZ HOTE HAEN?

Assalam O Alaikum:
KIA AP JANTEN HYN NAMAZ K KUL KITNE FARZ HOTE HAEN?
NAMAZ K KUL 13 FARZ HYN, 7 BAHER OR 6 ANDAR#
1.JISAM KA PAK HONA 2.KAPRO KA PAK HONA
3.SATAR KA CHUPANA 4.JIS JAGA NAMAZ PARNI HY WO JAGA PAK HO
5.QIBLA KI TRAF CHEHRA KRNA 6.NAMAZ K WAQT KA SAHEH PATA HONA
7.NIYAT KRNA
*
NAMAZ K ANDER K FARZ!
1.TAKBER E TEHREMA, 2.QYAM KRNA, 3.QIRAT KRNA
4.RUKOU KRNA, 5.SJDA KRNA, 6.AKHRI QAIDA
Khud b yad kare or dosto ko send kar k SAWAB hasil kren.

Dua'on ki darkhwast,              www.HazroCity.com

Saturday, February 2, 2013

Husn e Akhlaq, Mafhome Hadees:


Assalam O Alaikum:
Husn e Akhlaq, Mafhome Hadees:
Main Os shakhs ko Jannat k Kinaron per 1 Mahal Dilwanay ka Zamin hon Jo Haq Par honay k Bawujood Jhagra Chor day Aor Us Shakhs k Liye Jannat k darmayan main 1 Mahal ka Zamin hon Jo Mazak main b Jhot bolna chor day aor Us Shakhs k Liye Aala Jannat main 1 Mahal ka Zamin hon jo Apne Akhlaq ko Umda bana lay (AboDawood, Hadees#4800, Kitab ul Adab,
Ravi:Abo Umama Rz.A).
Dua'on ki darkhwast,
www.HazroCity.com