Friday, December 28, 2012

"AY INSAN" Tu smajhta hy k hamesha zinda raho ga,

Assalam O Alaikum.
"AY INSAN" Tu smajhta hy k hamesha zinda raho ga,
Nahi, jald tera nam zindo ki fehrist se nikal k murdo me shamil ho jayga
"WALDAIN" boht roengay phr mayus ho k baith jaynge
"RISHTADAR" tum ko khob yad kr k hmesha k liye bhol jaynge
"BIWI" kuch arsa sogwar rahay gi magr waqt ke sath tm ko bhol jaygi
"BACHAY" Boht yad krynge phr in k zehn se tera naksh mit jayga
"TUFAN" Tmhari qabar ki bulandi ko hamwar kr k tumhara nam safa hasti se mita dyga
10,20 saal Baad mehsos hoga k tum dunya me kbi ay na thy
Tu DUNYA KI FIKR CHOR! Akhrat ki tyari kr jhan hmesha ki zindgi hy..!
SubhaBakhair www.HazroCity.com

Wednesday, December 26, 2012

3 Chezain Gunah ki bunyad hain.

AsalamOAlekum. 

3 Chezain Gunah ki bunyad hain.
1.TAKABUR. Jis ne Ibless ko Shetan banaya. 2. HIRS.
Jis ne Aadam ko Jannat se nikalwaya. 3.HASAD.
Jis ki waja se bhai ne bhai ko qatal kia.
ALLAH Pak hamain TAKABBAR, HIRS & HASAD se apni Panah men rakhay (Aameen).
SubhaBakhair www.HazroCity.com

Monday, December 24, 2012

Kisi b tariqe sy ALLAH Pak ko yad karna zikar kehlata he...

AsalamOAlekum. *~ZIKAR~*
Kisi b tariqe sy ALLAH Pak ko yad karna zikar kehlata he.
Zikr ki 3 iqsam hen.
1(LASANI)Wo zikar jo zuban sy kia jaye.
2(QALBI)Jo zikr dil me kia jaye.
3(JISMANI)Wo zikr jo jism sy kia jaye.
ZIKR ki afzal tareen shakal Namaz he.
Q ke is me Zikr ki teeno iqsaam shamil hen.
************************************
Hazrat Huzaifa (RA) ny kaha k me nai suna RasoolAllah (Sallallahu Alayhi Wasallam)
sy k SHARAB har qisam K GUNAHON KA MAJMOOA HY
(Mishkat444) Jazakallah Khair, www.HazroCity.com

Saturday, December 22, 2012

Hajjaj Bin Yousuf ne 1 Tabeeb se farmaish ki...

AsalamOAlekum.
 Hajjaj Bin Yousuf ne 1 Tabeeb se farmaish ki
> Muje Tibb ki kuch achi batain batao, < Tabeeb ne kaha:
(1) Ghosht Sirf jawan janwar ka khao, (2) Jab dupeher ka khana khao to So jao
Or Sham ka khana kha ker chalo, Chahe tumhain kanton per chalna pare
(3) Jab tak pait ki pehli Ghiza hazzam na ker lo Doosra khana na khao
(4) Jab tak Baitul-khala na jao Sone k liye bistar par na jao
(5) Phalon (fruits) k naye mousam main phal khao
Jab Mousam jane lage to phal khana chor 2
6) Khana kha ker Pani peene se behtar hai zeher pee lo
Ya phir khana hi na khao... Jazakallah Khair, www.HazroCity.com

Thursday, December 20, 2012

Ajab faiz hai teri mohabbat main '''AAQA'''

AOA, Juma Mubarak!
Ajab faiz hai teri mohabbat main '''AAQA'''
K Darood tujh pay parhoun or sanwar khud jaon...
Subhan Allah (Juma k din kasrat k sath Darod Sharif Parhen).
&&&
Soraj ki kirnen Zamin Pe Parhne se Pehlay Neend se Uth Jaya kro,
Q k Us Waqat Rizq Taqsim kia ja raha hota hy.

www.HazroCity.com

Tuesday, December 18, 2012

Sb insan murda hyn. Zinda wo hyn jo ilm wale hyn.

Assalam O Alaikum >

Sb insan murda hyn. Zinda wo hyn jo ilm wale hyn.
Sb ilm wale soye hue hyn. Bedaar wo hyn jo amal wale hyn.
Sb amal wale ghaatay me hyn. Faaiday me wo hyn jo ikhlas wale hyn.
Sb Ikhlas wale khatray me hyn. Kaamyab wo hyn jo Takabbur se pak hyn.
(Imam Ghazali Rahmatullah Alaih) www.HazroCity.com

Sunday, December 16, 2012

"Namaz Ki Shan" Jab tum Namaz k liye khare hote ho to Sar se Aasman tak

Assalam O Alaikum >
"Namaz Ki Shan"
Jab tum Namaz k liye khare hote ho to Sar se Aasman tak
Rahmat-e-Ilahi ghata ban k cha jati hy, Farishtay tere
Chehre ki taraf Jamah ho jate hen, Ek Farishta
pukarta hy k Ay Namazi agar tu dekh lay keh tere
samnay kon hy or tu kis se bat kar raha hy to ALLAH
ki Qasam tu Qiyamat tak Salam na phere.
NAMAZ QAIM KRO IS SE PEHLAY KEH KI NAMAZ PARHI JAI.Namaz Deen ka sutoon wa Momen ki Meraaj hy,
www.HazroCity.com

Saturday, December 15, 2012

ALLAH k Kuch Banday Aise Hyn Jo Na to NABI Hyn Or Na hi SHAHEED...

Assalam O Alaikum >
ALLAH k Kuch Banday Aise Hyn Jo Na to NABI Hyn Or Na hi SHAHEED,
Lekin Qayamat k Din ALLAH ki Taraf Se Unko Milnay Wale Rutbe par ANBIYA Or SHUHADA Bhi Rashk Karenge.
Ye Wo Log Hain Jo Baghair Kisi Rishte Dari Or Lain Dain k, Sirf ALLAH ki Raza k Liye Ek Doosre Se Mohabbat Karenge.
Un k Chehre Roshan Honge Or Wo Noor k Mimbaron Pr Jalwa Gar Honge.
(Abu Dawood Hadith#3527, Page#1485 Sanad Sahee) ***
Mohammad S.A.W.W. ne farmaya, Safar (2nd Islami month) me Koi Nahosat nhi hy
[Bukhari,H5707] Ksi be maheny,din ya chez ko manhos samjhna jaheliat hy.
Jazakallah Khair, www.HazroCity.com

Wednesday, December 12, 2012

A wise Physician said...

A wise Physician said...
"I have been practicing medicine for 30 years and I have prescribed many things but in the long run I have learned that the best medicine for the human creature is Love and Respect!"
Someone asked, "if it doesn't work?"
He smiled and answered: "Increase the Dose"
www.HazroCity.com

Monday, December 10, 2012

"Agar tum QuranPak ki Tilawat kar rahay ho or Azan ki awaz...

  AOA-
"Agar tum QuranPak ki Tilawat kar rahay ho or Azan ki awaz aye to QuranPak ko band kar k
Azan suno, aur us k kalmat ka jawab do"
Zara sochye Aazan k waqat QuranPak ki Tilawat bi nahi karna chahiye or hum log Azan k waqat baton or T.V. band karne se b baaz nhi aatay.
We should care,
www.HazroCity.com

Saturday, December 8, 2012

"Girls without hijab are hot, and girls with hijab are Beautiful,

Assalam O Alaikum ! Importance of Hijab
"Girls without hijab are hot, and girls with hijab are Beautiful,
that's why hell is hot and paradise is beautiful"
Always Remember this that "if exposure of a body is modernism,
then the animals are m0re m0dern than Humans".
Keep forwarding for promotion of Hijab.
www.HazroCity.com

Thursday, December 6, 2012

Narrated Ibn 'Abbas R.A.Z.: I prayed with the Prophet one night and stood on...

Assalam O Alaikum!
Narrated Ibn 'Abbas R.A.Z.: I prayed with the Prophet one night and stood on
his left side. Allah's Apostle caught hold of my head from behind and drew
me to his right and then offered the prayer and slept. Later the Mu'adh-dhin
came and the Prophet stood up for prayer without performing ablution. 
Book #11, Hadith #693, Bukhari
www.HazroCity.com

Sunday, December 2, 2012

Insan apni maRzi k khilaf dunya me aata hy 0r...

Assalam O Alaikum!
                  ---INSAN---
Insan apni maRzi k khilaf dunya me aata hy 0r
Apni khwaish k khilaf yahan sy chala jata hy
Bachpan me farishta Jawani me shaitan
0r Burhapay me bewakof smjha jata hy
Gareb hy to fazol hy Ameer hy to magror hy
Kherat karta hy to shuhrat ka bhoka
Nhe karta to kanjos hy, Mazhab parast hy to makaar hy
Mazhab sy dor hy to gunhagar hy
Dunya me aata hy to har koi usy chomna chahta hy
Dunya sy jane k baad har koi us sy jan churana chahta hy
Pedaesh k waqt khud rota hy 0r Mrty waqt sb ko rota chor jata hy
Aakhir is insan ki haqiqat hy kya.....??? www.HazroCity.com