Tuesday, September 21, 2010

Tu MuSaLmAn hy tu aisa na kar Eid k bad.

Jab gai Masjid-o-Mimber pe nazar Eid k bad,
Aise majrooh hue Qalb-o-Jigar Eid k bad.
Dar-o-Deevar Masajid ne kia hum se sawal,
Jo Namazi thy gay ab wo kidhar Eid k bad?
Jitna RamazaN mai kamaya tha ganwaya aakhir,
Haay! Chori hi nahi koi kasar Eid k bad.
Mutakif thay jo Masajid k sutono ki tarha,
Koi B aata nah nazar in mai Eid k bad.
Wo to shetaan hai azaad hua hai lakin,
Tu MuSaLmAn hy tu aisa na kar Eid k bad.

No comments:

Post a Comment