Saturday, January 8, 2011

Be-sabab yon hi sar-e-sham nikal atay hain,

Be-sabab yon hi sar-e-sham nikal atay hain,
Ham bulaein to unhein kam nikal atay hain

Rote rote jo hasa hon to tajub kya hai
Sakhtiyon main bhi to aram nikal atay hain

Aik majno hi nahi dehshat main tanha tehra,
Rone walon main kai naam nikal atay hain

Baraha puhanchay darbar main ouron ki tarah,
Daam lagte hain to be-daam nikal atay hain

Nayi tehzeeb ke rozon se ye dekha manzar,
Sab ke izhaar se abhaam nikal atay hain!

No comments:

Post a Comment