Friday, March 11, 2011

Meray khowabon k gulshan my wafayain raks karti hain,

Meray khowabon k gulshan my wafayain raks karti hain,
Mere honton ki larzish pe khizayain raks karti hain,
Mujhe wo lakh tarpaye magar us shakhs ki khatir,
Mere dil k andheron mein duayain raks karti hain,
Use kehna k lot aye sulagti sham se pehle,
Kisi ki khushk ankhon my sadayen raks karti hain,
Khuda jane kaisi kashish hy uski yadon me,
Main us ka zikar chairun tau hawayen raks karti hain...

No comments:

Post a Comment