Friday, July 8, 2011

Hum kon hain kya hain ba-Khuda yaad nahi

(ALLAMA IQBAL)
Hum kon hain kya hain ba-Khuda yaad nahi
Apne aslaf ki koi b ada yaad nahi
Hain agar yaad to kafir k tarane
Hai nahi yaad to Kaabay ki sada yaad nahi
Bint-e-Hawa ko nachate hain sar-e-mehfil ab
Kitne sang-dil hain k rasm-e-haya yaad nahi
Aaj apni zillat ka sabab yeh hai shayad!
Sab kuch yaad hai bas Khuda yaad nai...

No comments:

Post a Comment