Saturday, October 8, 2011

Chirag le kar nagar nagar sadaqten dhondta hu

Chirag le kar nagar nagar sadaqten dhondta hu
Main nadan is dor mein sharaften dhondta hun
Jab uski jafa ka koi gila nahi mujhy
Phir q main baat karny ki wazahten dhondta hu
Mosamon ki adaaon ko bhool chuka hun shayed
Main phir b us k dil mein mohabbten dhondta hu
Us k andaaz ne bohat badal dala hai mujhy
Mein ab b us mein pehli c adaten dhondta hun
Wo kab se door ho chuka magar
Main ab tak aainay mein uski shabahaten dhondta hu
      www.Hazro.City.com

No comments:

Post a Comment