Monday, November 26, 2012

Aj rutha huwa aik dost buhat yad aya...

Aj rutha huwa aik dost buhat yad aya
acha guzra huwa khuch waqt buhat yad aya
mari ankhon k har aik ashk per roone wala
aj jab ankh yeah rui tu buhat yad aya
ju mary dard ko senay main chupa lyta tha
aj jab dard hu mujh ko tu buhat yad aya
ju meri ankh mein rehta tha kajal ki terha
aj kajal ju lagaya tu buhat yad aya
ju mere dil k tha qareeb faqat usko hi
aj jab dil nay bhulaya tu buhat yad aya...

No comments:

Post a Comment