Friday, November 19, 2010

"Jab logon ka ye haal ho jaye k wo burai...

Hazrat Abu Baqar Siddiq R.A ne farmaya: Maine Rasul Allah (PBUH)
ko farmatay suna hai k "Jab logon ka ye haal ho jaye k wo burai
dekhain aur isay badalnay ki koshish na karain, zalim ko zulm
kartay huay paayain aur uska hath na pakrain toh qareeb
hai k Allah apne azab main subko lapet le. Khuda ki
Qasam tumko lazim hai k bhalai ka hukam do aur
burai se roko. Warna Allah tum pe aisay logon
ko mussallat kar dega jo tum main sub se
bad-tar hon ge aur wo tumko sakht takleef
dain ge. Phir tumhare nek log khuda se
duayain mangain ge magar wo qabul
na hon gi." (Trimzi2178 AbuDaud4338)

No comments:

Post a Comment