Monday, April 1, 2013

Qutub-ud-din Aibak shikar par nikla to 1 Kisan ko Hall chalatay dekha, Pocha Din me kitne Paisay kamatay ho?

Assalam O Alaikum,
Qutub-ud-din Aibak shikar par nikla to 1 Kisan ko Hall chalatay dekha, Pocha Din me kitne Paisay kamatay ho?
Kisan:4 Rupay. Aibak:Kaise? kharch kartay ho?
Kisan:1 Rupiya khud pe, 1 Qarz daita hon, 1 Qarz wapis karta hon
or 1 Kunwain me phaink daita hon.
Aibak hairan hua aur kaha mai tumhari baaton ka matlab nahi samjha!
Kisan:1 Rupya mai apne or apni Bivi pe kharch karta hon;
1 apni aulad pe ta k kal ko mai Borrha ho jao to meri khidmat karen;
1 apne Borrhay Maa Baap pe
jinho ne mujh pe kharch kia tha
aur 1 khairat karta hon jska ajar mai is Dunya mai nahi chahta.
           www.HazroCity.com

No comments:

Post a Comment