Wednesday, May 18, 2011

10 bato'n ki wasiat....

Hazrat Muaz (R.A) farmate hain k Rasullullah (S.A.W.W) ne muje 10 bato'n
ki wasiat farmayi.
1-kisi ko Allah k sath shareek na thehra agarche tu qatal kr dia jaye ya jala
dia jaye 2-Apnay Maa Baap ki nafarmani na kr, agarche tuje hukam kre k tu
apne ehl or maal se alag ho ja 3-Jan bhoj kr Farz Namaz matt chorna, is lye
k jis ne Farz Namaz jan kar chor di, Allah ka zima os se barri ho gya 4-Sharab
na pee, ye tamam burayio ki jarr hai 5-gunah se bach kion keh Gunah se Allah
ka Ghazab utarta hai 6-Larai me bhagne se bach agarche log marte hUn
7-(Wabah phot jaye) or tu os jaga ho to un mey thera reh 8-Apni taqat k mutabiq
apni aulad par kharch kr 10-Aulad se lathi na rok or un ko Allah k bare mey drate
raho: Mishkaat Sharif, Hadith#54.

No comments:

Post a Comment